Anjuman E Sakina



AAGAYI SHAAME GHARIBAAN LUTGAYAA ZAINAB KAA GHAR
DERAHI HAI YE DUHAAI LUTGAYI MERI KAMAAYI
DEKH SHAAHE BEHROBAR LUTGAYAA ZAINAB KAA GHAR

CHHAAGAYAA HAR SU ANDHERAA BUJH GAYE SAARE CHARAAGH
EK ZAINAB AUR HAAE HAI BAHATTAR DIL PE DAAGH
BHAAI BHI MAARE GAYE HAIN BETE BHI MAARE GAYE HAIn
PAARAA PAARAA HAI JIGAR

HAAE DASHTE BE AMAAN ME HAI QAYAAMAT KI GADI
PEHRE PE ABBAAS BANKAR BINTE ZEHRAA HAI KHADI
ROTE HAIN MAASOOM PYAASE DETI HAI ZAINAB DILAASE
CHUM KAR BACHCHON KE SAR

EK JAGE JHULE SE LIPTI RORAHI HAI EK MAA
EK MAA MEHWE FUGHAAN HAI AI MERAA KADIAL JAWAAN
PAALNE WAALE BATAADE KOUN INKO AASRAA DE
TU HI KHUD INSAAF KAR

EK BACHCHI RO RAHI HAI HAAE LEKE HINCHKIYAAN
KHUN KAANON SE RAWAAN HAI AUR GAALON PAR NISHAAN
AAG DAAMAN ME LAGI HAI BAA-WAFAA KO DHUNDHTI HAI
KAASH AAJAAYE NAZAR

CHAARSU LAASHE PADE HAIN WAARISON KE BEKAFAN
KISKO AB AAWAAZ DE YE BE-SAHAARAA BE-WATAN
KYAA KARE YE GHAM KI MAARI KIS QADAR HAI RAAT BHAARI
MUSTAFAA KI AAL PAR

SAANS GHABRAAYI HUWI HAI AANKH PATHRAAYI HUWI
BAN ME HAI JAWAAD KAISI BEKASI CHHAAYI HUWI
HO RAHI HAI SHAB ANDHERI YE SHABE KARBOBALAA KI
JAANE KAB HOGI SAHAR